Thiik Hai khud Ko Hum Badalte Hain-Jaun Eliya Ghazals
|

Thiik Hai khud Ko Hum Badalte Hain-Jaun Eliya Ghazals

ٹھیک ہے خود کو ہم بدلتے ہیں
شکریہ مشورت کا چلتے ہیں

ہو رہا ہوں میں کس طرح برباد
دیکھنے والے ہاتھ ملتے ہیں

ہے وہ جان اب ہر ایک محفل کی
ہم بھی اب گھر سے کم نکلتے ہیں

کیا تکلف کریں یہ کہنے میں
جو بھی خوش ہے ہم اس سے جلتے ہیں

ہے اسے دور کا سفر در پیش
ہم سنبھالے نہیں سنبھلتے ہیں

تم بنو رنگ تم بنو خوشبو
ہم تو اپنے سخن میں ڈھلتے ہیں

میں اسی طرح تو بہلتا ہوں
اور سب جس طرح بہلتے ہیں

ہے عجب فیصلے کا صحرا بھی
چل نہ پڑیے تو پاؤں جلتے ہیں

Thiik hai khud ko hum badalte hain

thiik hai khud ko hum badalte hain
shukriya mashwarat ka chalte hain

ho raha hoon main kis tarah barbaad
dekhne wale haath malte hain

hai vo jaan ab har ek mahfil ki
hum bhi ab ghar se kam nikalte hain

kya takalluf karen ye kehne mein
jo bhi khush hai hum us se jalte hain

hai use door ka safar dar pesh
hum sambhale nahin sambhalte hain

tum bano rang tum bano khushbu
hum to apne sukhan mein dhalte hain

main usi tarah to bahalta hoon
aur sab jis tarah bahalte hain

hai ajab faisle ka sahra bhi
chal na padiye to paanv jalte hain

Must Read: Tum haqiqat nahi ho hasrat ho

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *