sar hi ab phoDiye nadamat mein
|

Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein

سر ہی اب پھوڑیے ندامت میں
نیند آنے لگی ہے فرقت میں

ہیں دلیلیں ترے خلاف مگر
سوچتا ہوں تری حمایت میں

روح نے عشق کا فریب دیا
جسم کو جسم کی عداوت میں

اب فقط عادتوں کی ورزش ہے
روح شامل نہیں شکایت میں

عشق کو درمیاں نہ لاؤ کہ میں
چیختا ہوں بدن کی عسرت میں

یہ کچھ آسان تو نہیں ہے کہ ہم
روٹھتے اب بھی ہیں مروت میں

وہ جو تعمیر ہونے والی تھی
لگ گئی آگ اس عمارت میں

زندگی کس طرح بسر ہوگی
دل نہیں لگ رہا محبت میں

حاصل کن ہے یہ جہان خراب
یہی ممکن تھا اتنی عجلت میں

پھر بنایا خدا نے آدم کو
اپنی صورت پہ ایسی صورت میں

اور پھر آدمی نے غور کیا
چھپکلی کی لطیف صنعت میں

اے خدا جو کہیں نہیں موجود
کیا لکھا ہے ہماری قسمت میں

Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein

sar hi ab phodiye nadamat mein
neend aane lagi hai furqat mein

hain daleelen tire khilaf magar
sochta hoon tiri himayat mein

rooh ne ishq ka fareb diya
jism ko jism ki adavat mein

ab faqat aadaton ki varzish hai
rooh shamil nahin shikayat mein

ishq ko darmiyan na lao ke main
cheekhta hoon badan ki usrat mein

ye kuchh asaan to nahin hai ke hum
roothte ab bhi hain muravvat mein

vo jo taamir hone wali thi
lag gai aag us imarat mein

zindagi kis tarah basar hogi
dil nahin lag raha mohabbat mein

hasil e kun hai ye jahan e kharab
yahi mumkin tha itni ujlat mein

phir banaya khuda ne aadam ko
apni surat pe aisi surat mein

aur phir aadmi ne ghaur kiya
chipkali ki latif sanat mein

ai khuda jo kahin nahin maujood
kya likha hai hamari qismat mein

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *