Tumhara Hijr Mana Lun Agar ijazat Ho-jaun eliya ghazal
|

Tumhara Hijr Mana Lun Agar ijazat Ho

تمہارا ہجر منا لوں اگر اجازت ہو
میں دل کسی سے لگا لوں اگر اجازت ہو

تمہارے بعد بھلا کیا ہیں وعدہ و پیماں
بس اپنا وقت گنوا لوں اگر اجازت ہو

تمہارے ہجر کی شب ہائے کار میں جاناں
کوئی چراغ جلا لوں اگر اجازت ہو

جنوں وہی ہے وہی میں مگر ہے شہر نیا
یہاں بھی شور مچا لوں اگر اجازت ہو

کسے ہے خواہش مرہم گری مگر پھر بھی
میں اپنے زخم دکھا لوں اگر اجازت ہو

تمہاری یاد میں جینے کی آرزو ہے ابھی
کچھ اپنا حال سنبھالوں اگر اجازت ہو

tumhara hijr mana lun agar ijazat ho

tumhara hijr mana lun agar ijazat ho
main dil kisi se laga lun agar ijazat ho

tumhare baad bhala kya hain wada o paiman
bas apna waqt ganwa lun agar ijazat ho

tumhare hijr ki shabha e kaar mein jaanan
koi charagh jala lun agar ijazat ho

junoon wahi hai wahi main magar hai shahr naya
yahan bhi shor macha lun agar ijazat ho

kise hai khwahish e marham gari magar phir bhi
main apne zakhm dikha lun agar ijazat ho

tumhari yaad mein jeene ki aarzu hai abhi
kuch apna haal sambhalun agar ijazat ho

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *