sitaron se aage jahan aur bhi hain
ستاروں سے آگے جہاں اور بھی ہیں
ابھی عشق کے امتحاں اور بھی ہیں
تہی زندگی سے نہیں یہ فضائیں
یہاں سیکڑوں کارواں اور بھی ہیں
قناعت نہ کر عالم رنگ و بو پر
چمن اور بھی آشیاں اور بھی ہیں
اگر کھو گیا اک نشیمن تو کیا غم
مقامات آہ و فغاں اور بھی ہیں
تو شاہیں ہے پرواز ہے کام تیرا
ترے سامنے آسماں اور بھی ہیں
اسی روز و شب میں الجھ کر نہ رہ جا
کہ تیرے زمان و مکاں اور بھی ہیں
گئے دن کہ تنہا تھا میں انجمن میں
یہاں اب مرے رازداں اور بھی ہیں
sitaron se aage jahan aur bhi hain
sitaron se aage jahan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahin ye fazaen
yahan saikdon karwan aur bhi hain
qanaat na kar alam e rang o boo par
chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ik nasheman to kya gham
maqamat e aah o fughan aur bhi hain
tu shahin hai parwaz hai kaam tera
tere samne aasman aur bhi hain
isi roz o shab mein ulajh kar na reh ja
ke tere zaman o makaan aur bhi hain
gaye din ke tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere raazdaan aur bhi hain