In this, we will discuss allama iqbal poetry in Urdu. The intellectual and spiritual rebirth of Muslims in South Asia was greatly inspired by philosopher, poet, and politician Allama Muhammad Iqbal (1877–1938). Known as “Mufakkir-e-Pakistan” (The Thinker of Pakistan) and “Shair-e-Mashriq” (The Poet of the East), Iqbal’s works cut beyond national borders to address universal concerns of self-awareness, spirituality, freedom, and human potential.
Written mostly in Persian and Urdu, Iqbal’s lyrical compositions exhibit his great awareness of Islamic philosophy, Western ideas, and the spiritual core of the human soul. Emphasizing khudi—selfhood or ego—his poetry inspires people to find their actual potential, develop inner power, and live deliberately. Using his writings, including Bang-e-Dra, Asrar-e-Khudi, and Zarb-e-Kalim, Iqbal aimed to rouse the Muslim world by advocating unity and self-reliance.
Often expressing a message of awakening and revolution, Iqbal’s poetry is both intensely personal and politically explosive and crucial in the intellectual movement that resulted in the founding of Pakistan. His works are ageless and still inspire readers with their strong images, great knowledge, and call to action.
Khudi ko kar baland itna ke hr taqdeer se pehle
khuda bnde se pooche bta tairi razaa kia hai
mana ke tairi deeed ke qabil nahi hon main
tu mera shouq daikha mera intizaar daikh
sitaaron se aage jahan aor bi hain
abhi ishq ke imtihaa aor b hain
taire ishq ki intihaa chahta hon
meri saadgi daikha kia chahta hon
tu shaheen hai parwaaz hai kaam taira
taire saamne aasma aor bi hain
duniya ki mehfilon se uktaa gya hon yaa-Rub
kia lutaf anjuman ka jb dil hi bujh gya ho
nasha pilla ke girana tu sb ko aata hai
maza tu tab hau ke girton ko thaam le saqi
faqat nigaaah se hota hai faisla dil ka
na ho nighaah main shokhi tu dilbari kia hai
hazaron saal nargus apni be noori py rooti hai
bari mushkil se hota hau chaman man deedah war paidaa
apne mun main doob kr paa jaa suraag-e-zindagi
tu agar mera nahi bntaa na bn apna tu bn
ilam main be saroor hai lakin
ya wo jannat hai jis me hoor nahi
Allama iqbal shayari
dil se jo baat nikilti hai asar rakhti hai
par nahi taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai
hayaa nahi hai zamane ki aankh main baqi
khudaa kare ke jawani tairi be-daag rahe
acha hai dil ke sath rahe paasbaan-e- aqal
lakin kbhi kbhi iccy tanhaa bi chorr de
Must read: 2 line urdu poetry
nahi taira nashaman qaaisr-e-sultaani ke gumbaad par
tu shahee hai basaira kr paharroo ki chitaano main
haarm paak bi Allah bi Quraan bi aik
kuch bari baat thi hote jo musalmaan bi aik
ghulaami main na kaam aati hain shamsheerain na tadbeerain
jo ho zouqq-e-yaqee paidaa tu kut jaatin hain zanjeerain
masjid tu bnnaa di shab bhar main emma ki hararat walon ne
mun apna purana paapi hai barson main namazi bn na saka
soo soo umeedein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyar se daikha kare koi
aa Taair-e-Laahoti uss rizaq se mout achi
jis rizaq se aati ho parwaaz main kotaahi
aqaabi rooh jb be-daaar hoti hai jawano main
nazar aati hai unko apni mazil aasmano main
Allama iqbal ki shayari
naa samjoo gy tu mit jaao gy aa hindustaan walo
tumhari dastaa tk bi naa ho gi dastano main
dhoondhta phirta hon aa Iqbal apne aap ko
aap hi goyaa musafir aapp hi manzil hon main
jis khaait se dehqaaa ko mayasar nahi roozi
icc khaait ke hr khoosa-e-gandam ko jlla du
yun tu syed bi ho mirza bi ho afghan bi ho
tum sabhi kuch ho btao tu musalman bi ho
amal se zindagi bnti hai jannat bi jahanum bi
yaa khaaki apni fitrat main na noori hai naa naari hai
tamana dard-e-dil ki ho tu kr khidmat faqeeron ki
nahi milta yaa gohar badshahon ke hazeeno main
ishq bi ho hajjab main husan bi ho hajjab main
yaan tu khud aashkaar ho yaa mujhe ashkaar kar
allama iqbal shayari in urdu
sare jaha se acha hindustaan hmara
hum bulbalein hain ic ki ya ghulastaan hmara
taire azaad bnddo ki na ya duniya na wo duniyaa
yahan mery ki pabnadi wahan jeene ki pabandi
jaamhoriat ik tarz-e-hakoomat hai ke jis main
bndoo ko ginnaa krte hain toola nahi krte
Baatil se dabne wale aa asmaa nahi hum
soo baar kr chuka hai tu imtihaa hmara
nahi na umeed iqbal apni kasht-e-weera se
zzara hum ho tu ya mitti bht zarhaiz hai saaaqi
watan ki fikar kr nadaa museebat aane wali hai
tairi barbadiyun ke mashware hain aasmanoo main
aqal ko tanqeeed se fursat nahi
ishq par amaal ki bunyaad rakh
button se tujh ko umeedein khuda se naumeedi
mujhe btaa tu sahi aor kaafiri kia ha
yaaqee muhkam amal pahim mohabbat faateh-e-alim
jahaad zindagani main hain ya mardoon ki sham-sheerain
bhari bazam main ik raaz ki baat keh di
barra be-adab hon sazaa chahta hon
anokhi wuzaa ha saare zamane se niraale hain
yaa ashiq konsi bassti ke ya-rub rehne wale hain
baaag-e-Bahishat se mujhe hukam-e- safar diya tha kyun
kaar-r-jahaan daraaz hai ab mera intizaar kr
hai raam ke wajood py hindustan ko naaz
ahal-e-nazar samajte hain ic ko imam-e-hind
tu ne ya kia ghazab kiya mujh ko bi faash kr diya
main hi tu aik raaz tha seena-e-kaainaat main
soodagri nahi ya ibadat khuda ki hai
aa be-khabar jazaa ki tamana bi chorr de
andaaz-e-byaan garchaa bht shookh nahi hai
shayad ke utar jaye taire dil main meri baat
mujhe rooke ga tu aaa na-khuda kia gharaq hone se
ke jin ko doobna hai doob jate hain safeeno main
kbhi hum se kbhi gaairon se shana-saai hai
baat kehne ki nahi tu bi tu harjaai hai
Allama iqbal best shayari
na pocho mujh se laazat-e-khaanmaa barbadd rehne ki
nashaman seekron main ne bnaa kr phoonk daale hain
ya jannat mubarak rahe zahidonn ko
ke main apka samina chahta hon
Must read: Best Mother poetry in urdu
howay madfoon darya zeer-e-daryaa taarne wale
taamanche mooj ke khaate the jo bn kar gohar nikle
arooj-e-adam khaakhi se anjum sahme jaate hain
ke ya toota howaa taara meh-e-kaamil na bn jaye
jub ishq sikhata hai aadab-e-khud aagaahi
khulte hain gulaamon par asrar-e-shahan-shani
zaahir ki aankh se na tamasha kare koi
ho daikhna tu deeedah-e-dil waa kare koi