Na Hua Nasib Qarar-e-Jaan Hawas-e-Qarar Bhi ab Nahin-jaun eliya ghazals
| |

Na Hua Nasib Qarar-e-Jaan Hawas-e-Qarar Bhi ab Nahin

نہ ہوا نصیب قرار جاں ہوس قرار بھی اب نہیں
ترا انتظار بہت کیا ترا انتظار بھی اب نہیں

تجھے کیا خبر مہ و سال نے ہمیں کیسے زخم دیے یہاں
تری یادگار تھی اک خلش تری یادگار بھی اب نہیں

نہ گلے رہے نہ گماں رہے نہ گزارشیں ہیں نہ گفتگو
وہ نشاط وعدۂ وصل کیا ہمیں اعتبار بھی اب نہیں

رہے نام رشتۂ رفتگاں نہ شکایتیں ہیں نہ شوخیاں
کوئی عذر خواہ تو اب کہاں کوئی عذر دار بھی اب نہیں

کسے نذر دیں دل و جاں بہم کہ نہیں وہ کاکل خم بہ خم
کسے ہر نفس کا حساب دیں کہ شمیم یار بھی اب نہیں

وہ ہجوم دل زدگاں کہ تھا تجھے مژدہ ہو کہ بکھر گیا
ترے آستانے کی خیر ہو سر رہ غبار بھی اب نہیں

وہ جو اپنی جاں سے گزر گئے انہیں کیا خبر ہے کہ شہر میں
کسی جاں نثار کا ذکر کیا کوئی سوگوار بھی اب نہیں

نہیں اب تو اہل جنوں میں بھی وہ جو شوق شہر میں عام تھا
وہ جو رنگ تھا کبھی کو بہ کو سر کوئے یار بھی اب نہیں

Na Hua Nasib Qarar-e-Jaan Hawas-e-Qarar Bhi ab Nahin

na hua naseeb qarar e jaan havas e qarar bhi ab nahin
tira intezaar bahut kiya tira intezaar bhi ab nahin

tujhe kya khabar maho saal ne hamen kaise zakhm diye yahan
tiri yaadgaar thi ik khalish tiri yaadgaar bhi ab nahin

na gile rahe na gumaan rahe na guzarishen hain na guftagu
wo nishat e wada e wasl kya hamen etibaar bhi ab nahin

rahe naam e rishta e raftgaan na shikayaten hain na shokhiyan
koi uzr khwah to ab kahan koi uzr daar bhi ab nahin

kise nazar dein dil o jaan baham ki nahin wo kakul e kham ba kham
kise har nafas ka hisaab dein ki shamim e yaar bhi ab nahin

wo hujoom e dil zadagaan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya
tire aastane ki khair ho sar e rah e ghubaar bhi ab nahin

wo jo apni jaan se guzar gaye unhen kya khabar hai ki shahr mein
kisi jaan nisaar ka zikr kya koi sogvaar bhi ab nahin

nahin ab to ahl e junoon mein bhi wo jo shauq e shahr mein aam tha
wo jo rang tha kabhi koo ba koo sar e koo e yaar bhi ab nahin

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *