Dard Ho Dil Mein To Dawa Kijiye

Dard Ho Dil Mein To Dawa Kijiye

 

درد ہو دل میں تو دوا کیجے
اور جو دل ہی نہ ہو تو کیا کیجے

غم میں کچھ غم کا مشغلا کیجے
درد کی درد سے دوا کیجے

آپ اور عہد پر وفا کیجے
توبہ توبہ خدا خدا کیجے

دیکھتا ہوں جو حشر کے آثار
اپنے تیور ملاحظہ کیجے

نظر التفات بن گئی موت
مری قسمت کو آپ کیا کیجے

دیکھیے مقتضائے حال مریض
اب دوا چھوڑیئے دوا کیجے

چار دن کی حیات میں منظرؔ
کیوں کسی سے بھی دل برا کیجے

Dard ho dil mein to dawa kijiye

Dard ho dil mein to dawa kijiye
Aur jo dil hi na ho to kya kijiye

Gham mein kuch gham ka mashghala kijiye
Dard ki dard se dawa kijiye

Aap aur ehad par wafa kijiye
Tobah tobah Khuda Khuda kijiye

Dekhta hoon jo hashar ke aasar
Apne tevar mulahiza kijiye

Nazar altafat ban gayi maut
Meri qismat ko aap kya kijiye

Dekhiye maqtaza-e-haal mareez
Ab dawa chhodiye dawa kijiye

Char din ki hayat mein Manzirؔ
Kyun kisi se bhi dil bura kijiye

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *