be-qarari si be-qarari hai
| |

Be-Qarari Si Be-Qarari Hai-Jaun Eliya Ghazal

be-qarari si be-qarari hai
vasl hai aur firaq taari hai

jo guzari na ja saki hum se
hum ne vo zindagi guzari hai

nigahare kya hue ki logon par
apna saaya bhi ab to bhaari hai

bin tumhare kabhi nahin aayi
kya meri neend bhi tumhari hai

aap mein kaise aau main tujh bin
saans jo chal rahi hai aari hai

us se kahiyo ki dil ki galiyon mein
raat din teri intizaari hai

hijr ho ya visaal ho kuchh ho
hum hain aur us ki yaadgaari hai

ik mahak samt-e-dil se aayi thi
main ye samjha teri sawaari hai

hadson ka hisaab hai apna
varna har aan sab ki baari hai

khush rahe tu ki zindagi apni
umr bhar ki umeed-vaari hai

بے قراری سی بے قراری ہے

بے قراری سی بے قراری ہے
وصل ہے اور فراق طاری ہے

جو گزاری نہ جا سکی ہم سے
ہم نے وہ زندگی گزاری ہے

نگھرے کیا ہوئے کہ لوگوں پر
اپنا سایہ بھی اب تو بھاری ہے

بن تمہارے کبھی نہیں آئی
کیا مری نیند بھی تمہاری ہے

آپ میں کیسے آؤں میں تجھ بن
سانس جو چل رہی ہے آری ہے

اس سے کہیو کہ دل کی گلیوں میں
رات دن تیری انتظاری ہے

ہجر ہو یا وصال ہو کچھ ہو
ہم ہیں اور اس کی یادگاری ہے

اک مہک سمت دل سے آئی تھی
میں یہ سمجھا تری سواری ہے

حادثوں کا حساب ہے اپنا
ورنہ ہر آن سب کی باری ہے

خوش رہے تو کہ زندگی اپنی
عمر بھر کی امیدواری ہے

Tum haqiqat nahi ho hasrat ho

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *