50+ Best Islamic Shayari in Urdu
Combining religion and dedication with the craft of poetry, Islamic Shayari (Islamic poetry in Urdu) is a lovely kind of creative expression. It frequently shows the love for Islam’s values—peace, compassion, and patience—as well as for Allah, the Prophet Muhammad (peace be upon him). The songs are meant to uplift Christians of their spiritual obligations, encourage faith, and provide comfort in trying circumstances.
Emphasizing humility, the fleeting character of life, and the everlasting happiness of the future, these lyrical lyrics in the name of Allah, the Most Merciful, the Most Compassionate, appeal to the heart of the reader Often guiding the reader toward nearness to Allah by faith and good acts, Islamic Shayari reminds one of the blessings of prayer (Salah), the value of appreciation (Shukr), and the direction provided in the Qur’an.
Islamic Poetry in Urdu
yahi hai ibadat yahi deen-o-emaa
ke kaam aaye duniya main insaan ke insaan

toorne waly hazaar bethe hain magar
jorrne wali zaat bs Allah Azaw-jul ki hai

nishaan sajdaa sajaa kr bht gharoor na kr
wo neeyaton see naateeje nikaal laita hai

Kitaab-e-haq ki ayat hai Mohammad Rasul Allah
Azaan ki shahdat hai Mohammad Rasul Allah

laboon py jaam-e-barkaat hai Darood aor salam un par
dilon ki naam-e-rehmat hai Mohammad Rasul Allah

jin ki umeed sirf Allah see ho
wo kbhi Na-umeed nahi hote

kahaa gyaa apni khawaeishaat ka zikr kro
thakhe howay wajood ne kaha bs KHana Kaaba

ICC din saari mohabatein jhooti lgeein gi
jis din sunoo ge
ya Allah meri umaat ko bakhshish de



mitti main mil gaye hain iraade yazeed ke
larhraa raha hai aaj bi Paarcham Haseen ka

Mujhe tu surkharo hona hai Aaqa (SAW) ki nigahon main
zamane ka hai kia Nasir bhala jaane buraa jaane

khuda aaise ahsaas ka naam hai
rahe saamne aor dhikhaai na de

khuda se maang jo kuch maangna hai aa Akbar
yahi wo dar hai ke zilaat nahi sawaal kr bd

mujh ko khaweish hi dhoondhne ki na thi
mujh ko khooya raha khudaa mera

meer bndoon se kaam kb nikla
maangna hai jo kuch khudaa se maang

tairi bakhshish ke bhaarose py khaatein ki hain
tairi rehmat ke saahare ne guaanah gaar kiya

aata hai daag hasrat dil ka shumaar yaad
mujh se mery gunaah ka hisaab aaa khudaa na maang

mery gunaah ziada hain ya tairi rehmat
kareem tu hi btaa de hisaab kr ke mujhe

Islamic poetry in urdu 2 lines
gull ghaanche aaftaab shafaq chaand kehkashan
aaisi koi bi chiz nahi jis main tu na ho

jo chiaay soo maangiay Allah se Ameer
uss dar py aabroo nahi jaati sawaal se

gunaah gin ke main kyun apne dil ko choota karon
suna hai taire karam ka koi hisaab nahi

jug main aa kr edhr udhar daikha
tu hi aaya nazar jidhar daikha

Allah agr tofeeq na de insaan ke bs ka kaam nahi
feeezan-e-mohabbat aam sahi irfaan mohabbat aam nahi

hai ghaalat gr ghumaan mai kucch nahi
tujh siwaa bi jahan main kuch hai

zameen jb bi hui karbala hmary liay
tu aasman se utraa khudaa hamary liay

chl diaay sooye-e-haram kooye butaan se Momin
jb diya raanj buton ne tu khuda yaad aya

acha yaqqe nahi hai tu kashti dubaa ke daikho
ik tu hi na-khudaa nahi zaalim khudaa bhi hai

daag ko kon daine wala tha
jo diya aa khuda diya tu ne

khud ko duniya se jb be-zaar paao tu
Qur’an uthaao dil se lgaao aor rub ke ho jao

islamic shero shayari
aqal main jo ghar gyaa laa-intihaa kyun kar howa
jo sama main a gya phir wo khudaa kyun kar howa

ya-Rub tairi Rehmat se mayoos nahi Faani
lakin tairi rehmat ki takheer ko kia kaahya

tareef uss khuda ki jis ne jaha bnaya
kaisi zamee bnaai kia aasma bnaya

buuut kaade se chale ho Kaabe ko
kia mily ga tumhein khuda ke siwaa

tu mere saajdon ki laaj rakh le shaaoor sajda nahi mujh ko
ya saar taire aastan se pehle kisi ke aage jhukka nahi hai

jhooliyan sb ki bhaarti jaati
daine wala nazar nahi aata









wo sunta hai sb ki dua kr ke tu daikho
tum apne naseeb aazma kr tu daikho

Allah! itne Tu hoosle hon km se km mere bulland
ke shahhon ke taaj sb main ishaaron se sheen ln
