Ye Gham Kya Dil Ki Aadat Hai Nahin To
یہ غم کیا دل کی عادت ہے نہیں تو
کسی سے کچھ شکایت ہے نہیں تو
کسی کے بن کسی کی یاد کے بن
جیئے جانے کی ہمت ہے نہیں تو
ہے وہ اک خواب بے تعبیر اس کو
بھلا دینے کی نیت ہے نہیں تو
کسی صورت بھی دل لگتا نہیں ہاں
تو کچھ دن سے یہ حالت ہے نہیں تو
ترے اس حال پر ہے سب کو حیرت
تجھے بھی اس پہ حیرت ہے نہیں تو
ہم آہنگی نہیں دنیا سے تیری
تجھے اس پر ندامت ہے نہیں تو
ہوا جو کچھ یہی مقسوم تھا کیا
یہی ساری حکایت ہے نہیں تو
اذیت ناک امیدوں سے تجھ کو
اماں پانے کی حسرت ہے نہیں تو
تو رہتا ہے خیال و خواب میں گم
تو اس کی وجہ فرصت ہے نہیں تو
سبب جو اس جدائی کا بنا ہے
وہ مجھ سے خوبصورت ہے نہیں تو
Ye Gham Kya Dil Ki Aadat Hai Nahin To
ye gham kya dil ki adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai wo ek khwab e be tabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin haan
to kuchh din se ye halat hai nahin to
tere is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsoom tha kya
yahi sari hikayat hai nahin to
aziyyat nak umeedon se tujh ko
amaan pane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai khayal o khwab mein gum
to is ki wajah fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
wo mujh se khoobsurat hai nahin to