apne sab yar kaam kar rahe hain
اپنے سب یار کام کر رہے ہیں
اور ہم ہیں کہ نام کر رہے ہیں
تیغ بازی کا شوق اپنی جگہ
آپ تو قتل عام کر رہے ہیں
داد و تحسین کا یہ شور ہے کیوں
ہم تو خود سے کلام کر رہے ہیں
ہم ہیں مصروف انتظام مگر
جانے کیا انتظام کر رہے ہیں
ہے وہ بے چارگی کا حال کہ ہم
ہر کسی کو سلام کر رہے ہیں
ایک قتالہ چاہیے ہم کو
ہم یہ اعلان عام کر رہے ہیں
کیا بھلا ساغر سفال کہ ہم
ناف پیالے کو جام کر رہے ہیں
ہم تو آئے تھے عرض مطلب کو
اور وہ احترام کر رہے ہیں
نہ اٹھے آہ کا دھواں بھی کہ وہ
کوئے دل میں خرام کر رہے ہیں
اس کے ہونٹوں پہ رکھ کے ہونٹ اپنے
بات ہی ہم تمام کر رہے ہیں
ہم عجب ہیں کہ اس کے کوچے میں
بے سبب دھوم دھام کر رہے ہیں
apne sab yar kaam kar rahe hain

apne sab yaar kaam kar rahe hain
aur hum hain ki naam kar rahe hain
tegh bazi ka shauq apni jagah
aap to qatl e aam kar rahe hain
dad o tahsin ka ye shor hai kyun
hum to khud se kalaam kar rahe hain
hum hain masroof e intizaam magar
jaane kya intizaam kar rahe hain
hai wo bechargi ka haal ki hum
har kisi ko salaam kar rahe hain
ek qattala chahiye hum ko
hum ye elan e aam kar rahe hain
kya bhala saghar e sifal ki hum
naaf pyale ko jaam kar rahe hain
hum to aaye the arz e matlab ko
aur wo ehtiraam kar rahe hain
na uthe aah ka dhuan bhi ki wo
koo e dil mein khiraam kar rahe hain
us ke honton pe rakh ke hont apne
baat hi hum tamam kar rahe hain
hum ajab hain ki us ke kuche mein
be sabab dhoom dhaam kar rahe hain